kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte kati umr apni qafas qafas teri khushbuon ko pukarte na wo mah-jabinon ki toliyan na wo rang rang ki boliyan na mohabbaton ki wo baziyan kabhi jitte kabhi haarte wo jo aarzuon ke khwab the wo khayal the wo sarab the sar-e-dasht ek bhi gul na tha jise aansuon se sanwarte tha jo ek lamha visal ka wo riyaz tha kai sal ka wahi ek pal mein guzar gaya jise umr guzri pukarte the jo jaan se bhi aziz-tar rahe umr bhar wahi be-khabar thi ye aarzu mere chaara-gar meri naw par utarte nahin lab pe koi sawal tha mera dil tamam malal tha main khamosh dar pe khada raha rahe wo bhi gesu sanwarte