kabhi main zikr karun din ki shadmani ka fasana khatm to ho shab ki sargirani ka simat ke aa gaya qadmon mein kis tarah sahra suna tha shor bahut us ki be-karani ka ajab nahin ki nae raste nikal aaen kisi ne rasta roka hai bahte pani ka tamam ahl-e-zaban baatilon ke haq mein hain mujhe malal nahin apni be-zabani ka jo baat kahni thi ab tak kahi nahin main ne main ikhtitam karun kaise is kahani ka khuda samajhta hai khud ko yahan jo aata hai ajib haal hai 'alam' sara-e-fani ka