kyunkar na khaksar rahen ahl-e-kin se dur dekho zamin falak se falak hai zamin se dur parwana wasl-e-shama pe deta hai apni jaan kyunkar rahe dil us ke rukh-e-atishin se dur mazmun-e-wasl-o-hijr jo name mein hai raqam hai harf bhi kahin se mile aur kahin se dur go tir-e-be-guman hai mere pas par abhi jae nikal ke sina-e-charkh-e-barin se dur wo kaun hai ki jate nahin aap jis ke pas lekin hamesha bhagte ho tum hamin se dur hairan hun ki us ke muqabil ho aaina jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se dur yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein wo baithte bhi hain to mere ham-nashin se dur manzur ho jo did tujhe dil ki aankh se pahunche teri nazar nigah-e-dur-bin se dur duniya-e-dun ki de na mohabbat khuda 'zafar' insan ko phenk de hai ye iman o din se dur