rudad-e-gham ki jab se shohrat si ho gai hai rangini-e-jahan se wahshat si ho gai hai tewar bata rahe hain andaz be-rukhi ke un ko jafa se shayad raghbat si ho gai hai nahaq utha rahe ho tufan tajalliyon ke zauq-e-nazar ko mere ghaflat si ho gai hai mahsus kar raha hun tar-e-nafas mein tezi kuchh iztirab-e-gham mein shiddat si ho gai hai matlab nahin karam se be-mehriyon ka gham kya sabr-o-raza se ab to ulfat si ho gai hai taron ki anjuman mein mahw-e-khayal ho kar raaton ko jagne ki aadat si ho gai hai dil bujh chuka hai 'basit' baqi nahin tamanna ab zindagi se mujh ko nafrat si ho gai hai