mohabbat khabt hai ya waswasa hai magar apni jagah ye waqia hai jise hum wahima samjhe hue hain wo saya bhi teri diwar ka hai makan sargoshiyon se gunjte hain andhera rauzanon se jhankta hai dar o diwar chup sadhe hue hain faqat ek aalam-e-hu bolta hai meri aankhon pe ainak dusri hai ki ye taswir ka rukh dusra hai suna hai dubne wale ne pahle kisi ka nam sahil par likha hai guzar kis ka hua hai jo abhi tak do-alam aaina-bardar sa hai ye duniya mit gai hoti kabhi ki magar ek nam aisa aa gaya hai mohabbat hai 'rasa' meri ibaadat ye mera dil mera dast-e-dua hai