mujh mein asar-e-jalwa-e-mastana hai us ka itna to kahenge koi diwana hai us ka kya shan badhi hai sadaf-e-kaun-o-makan ki nur-e-madani gauhar-e-yak-dana hai us ka us shama-e-tajalli pe jhuki jati hain aankhen nazzara jise kahte hain parwana hai us ka hum shor-e-qayamat ki haqiqat se hain waqif jo nind udata hai wo afsana hai us ka aaya hai idhar bich mein nairang-e-tamasha dekho to udhar kaba o but-khana hai us ka han rang-e-parida ko yahan kahte hain sahba jo dil ki shikasta hai wo paimana hai us ka saqi hai jahan maut wo hai bazm-e-mohabbat khinchti hai jahan ruh wo mai-khana hai us ka