ruh ke zakhm se chehre pe tawanai hai be-hisi shiddat-e-ehsas ki gahrai hai har nafas tishnagi-e-dard pazirai hai dil jise kahte hain ek mahshar-e-tanhai hai khud-faramosh hun main ishq faramosh nahin bhulta tujh ko to kahta teri yaad aai hai waqt ka jabr hai majburi-e-dil se bhi siwa warna asl kise tab-e-shakebai hai thi nazar jalwa hi jalwa tere nazzare tak ab nazar kya hai faqat tohmat-e-binai hai hanste hanste kabhi aansu nikal aa jate the pi gae ab kai aansu to hansi aai hai kar gai shahr ki tahzib taraqqi kitni qatilon ko bhi yahan naz-e-masihai hai khush-mizaji se na kha ahl-e-chaman ki dhoka dil se begane hain chehron se shanasai hai dad de kaun meri be-sar-o-samani ki har koi apni tabahi ka tamashai hai sabr hi sabr hai dastur-e-mohabbat ki shan jabr-e-mahbub pe aain-e-zulekhai hai