kabhi nazr-e-mashq-e-sukhan kiya kabhi aansuon mein baha diya ki hamare sar gham-e-agahi ka jo qarz tha so chuka diya main hun mah-e-waqt ka ham-nasab main tulu-e-sahar ka hun sabab main charagh-e-akhir-e-shab nahin ki na khud bujha to bujha diya main haqiqaton ka asir hun hai tilism-e-khwab-o-khayal tu teri raushni hai dhuan dhuan meri tirgi bhi diya diya main hi rabt-e-wahm-o-guman hun teri manzilon ka nishan hun koi sang-e-rah to hun nahin jise thokaron se hata diya meri dastan mein khushi-o-ranj ke mod bhi to ajib the kabhi qahqahon mein bhi ashk the kabhi fart-e-gham ne hansa diya