wo aise pesh aaya mujhse jaise jaanta nahin

wo aise pesh aaya mujh se jaise jaanta nahin
agarche nam us ka main kabhi bhi bhulta nahin

ye dil bhi hai ke us ki bewafai manta nahin
magar siwae us ke ab kisi se rabta nahin

wo jadugar hai lafzon ka tu us se dur rahna sikh
us aadmi ke bare mein abhi tu jaanta nahin

muqaddar apna gar bichhadna hi hua to thik hai
meri nazar mein ab bichhadna koi hadisa nahin

yahan to gham ki boliyan lagai jati hain miyan
tumhaare dard se yahan koi bhi aashna nahin

ki mera khwab bhi hai wo mera khayal bhi hai wo
ye sach hai 'ghazi' bhul kar bhi us ko bhulta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close