kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain zihanaton ko kahan waqt khun bahane ka hamare shahr mein kirdar qatl hote hain faza mein hum hi banate hain aag ke manzar samundaron mein hamin kashtiyan dubote hain palat chalen ki ghalat aa gae hamin shayad rais logon se milne ke waqt hote hain main us dayar mein hun be-sukun barson se jahan sukun se ajdad mere sote hain guzar dete hain umren khulus ki khatir purane log bhi 'azhar' ajib hote hain