khat us ke apne hath ka aata nahin koi kya hadsa hua hai batata nahin koi gudiyan jawan kya huin mere pados ki aanchal mein jugnuon ko chhupata nahin koi jab se bata diya hai nujumi ne mera nam apni hatheliyon ko dikhata nahin koi kuchh itni tez dhup nae mausamon ki hai biti hui ruton ko bhulata nahin koi dekha hai jab se khud ko mujhe dekhte hue aaina samne se hatata nahin koi 'azhar' yahan hai ab mere ghar ka akela-pan suraj agar na ho to jagata nahin koi