kabhi raqs-e-sham-e-bahaar mein use dekhte kabhi khwahishon ke ghubar mein use dekhte magar ek najm-e-sahar-numa kahin jagta tere hijr ki shab-e-tar mein use dekhte wo tha ek aks-e-gurez-pa so nahin ruka kati umr dasht o dayar mein use dekhte wo jo bazm mein raha be-khabar koi aur tha shab-e-wasl mere kanar mein use dekhte jo azal ki lauh pe naqsh tha wahi aks tha kabhi aap qarya-e-dar mein use dekhte wo jo kaenat ka nur tha nahin dur tha magar apne qurb-o-jawar mein use dekhte yahi ab jo hai yahan naghma-khwan yahi khush-bayan kisi sham ku-e-nigar mein use dekhte