koi dhadkan koi uljhan koi bandhan mange har-nafas apni kahani mein naya-pan mange dasht-e-afkar mein hum se nae mausam ka mizaj bijliyan tinkon ki shoalon ka nasheman mange raat-bhar galiyon mein yakh-basta hawaon ki sada kisi khidki ki sulagti hui chilman mange zahr sannate ka kab tak piye sahra-e-sukut ret ka zarra bhi aawaz ki dhadkan mange kali raaton ke jahannam mein badan sukh gaya daman-e-subh ki thandak koi birhan mange habs wo hai ki nazaron ka bhi dam ghutta hai koi sondhi si mahak ab mera aangan mange zindagi jin ke tasadum se hai zakhmi 'farhat' dil unhin tute hue sapnon ka darpan mange