khilne lage hain phul aur patte hare hue lagte hain ped sare ke sare bhare hue suraj ne aankh khol ke dekha zamin ko sae andheri raat ke jhat se hare hue mil kar karen wo kaam jo pahle kiye gae! arsa hua hai kaam bhi aise kare hue kaisi ajib rut hai parinde gharon se ab nikle nahin hain khauf ke mare dare hue aata hai roz khwab mein wo paikar-e-jamal aankhon ki gagaron ko haya se bhare hue phir se kisi pe zulm kisi ne kiya hai aaj dekhe hain ghonslon mein parinde mare hue mashal liye hue koi aaega ab 'hasan' baithe hain kab se taq mein aankhen dhare hue