kyon na phir shahr-e-khamoshan mein sada di jae sham-e-mahfil jo sar-e-sham bujha di jae jab mile aankh kisi se to jala di jae hai jo ye rasm to ye rasm utha di jae lakhlakhon se to kabhi hosh nahin aane ka ho sake to kisi daman ki hawa di jae hairat-e-chashm-e-gila-mand to kuchh kar na saki ju-e-khun aankhon se phir kyon na baha di jae raushni ke liye kyon tur ke mohtaj banen dagh-e-dil hi se na kyon shama jala di jae aaine gard-e-kudurat se jo bad-baatin hon kyon na ikhlas ke chhinton se jila di jae aql-e-ayyar ka parhez mudawa hai maraz dil bade kaam ki shai hai jo dawa di jae wo to kahiye ki nahin marifat-e-aks-e-jamal aaina chur ho gar baat bata di jae tur tak aane ki zahmat na gawara ho agar ek jhalak parda-e-dil hi se dikha di jae walihana nigah-e-shauq jo uth jae kabhi be-gunahi ki khata par na saza di jae hum ne mana ki takhatub mein hai ruswai magar harj kya hai jo nigahon se sada di jae han gunahgar hun elan-e-haqiqat kar ke hai munasib jo sar-e-dar saza di jae jite ji us ki gali se jo na uttha 'naqwi' hai munasib ki wahin qabr bana di jae