kabhi to aa meri aankhon ki raushni ban kar zamin-e-khushk ko sairab kar nami ban kar racha hua hai teri kam-nigahiyon ka karam nashe ki tarah mere dil mein sarkhushi ban kar kabhi to aa tapish-e-jaan-gusal hi dene ko kabhi guzar inhi rahon se ajnabi ban kar khusha ki aur mila gham ka taziyana hamein khusha wo dard jo chhaya hai naghmagi ban kar tumhein aziz nahin hai to ho aziz kise na mil sakega koi wajh-e-zindagi ban kar palat ke dekh na us ko wo khak kar dega tere ghurur ko zahrab ki ani ban kar hui na us se wafa tum se kya hua 'nahid' abhi talak jiye jati ho baoli ban kar