mausam-e-hijr to daim hai na rukhsat hoga ek hi lamhe ko ho wasl ghanimat hoga mera dil aakhiri tare ki tarah hai goya dubna us ka nae din ki bashaarat hoga ab ke hangama nai tarah hua hai aaghaz shahr bhi ab ke nae taur se ghaarat hoga shakh se tut ke patte ne ye dil mein socha kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga dil se duniya ka jo rishta hai ajab rishta hai hum jo tute hain to kab shahr salamat hoga baadbanon se hawa lag ke gale roti hai ye safina bhi kisi mauj ki qismat hoga