wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise aisa to ho koi ki masiha kahen jise pursan-e-haal koi nahin jis ka nam len ek dard dil hi hai ki shanasa kahen jise mushkil ye hai ki aap to sunte hi kuchh nahin rudad-e-ishq wo ki fasana kahen jise jalwe se dekhiye kahin aankhen jhapak na jaen yun chashm wa ho zauq-e-tamasha kahen jise allah aisi de tujhe taufiq ai junun sar mein wo dhun samae ki sauda kahen jise sab hasraton ko khak mein zalim mila diya ab dil mein kya raha ki tamanna kahen jise ye bar-e-zindagi kahin halka na 'shauq' ho itna to ho ki hasil-e-duniya kahen jise