kaghaz pa harf harf nikhar jaana chahiye be-chehragi ko rang mein bhar jaana chahiye mumkin hai aasman ka rasta inhin se ho nile samundaron mein utar jaana chahiye har-dam badan ki qaid ka rona fuzul hai mausam sadaen de to bikhar jaana chahiye sahra mein kaun bhik kise dega chhanw ki khud apni ot mein hi thahar jaana chahiye tanha safar mein raat ke is pichhle waqt mein aawaz koi de to kidhar jaana chahiye jis se bichhad ke ho gae sahra-naward hum ab tak to us ke zakhm bhi bhar jaana chahiye pani ko rokti ho jo 'akhilesh'-ji ana khud pyas ko nadi mein utar jaana chahiye