uski gham-KHwari karo aur uski dildari karo

us ki gham-khwari karo aur us ki dildari karo
maslahat kahti hai tum dushman se bhi yari karo

kam se kam insaf ka daman na chhodo hath se
main kahan kahta hun tum meri taraf-dari karo

umr bhar sahte raho bakhshi hui sanson ka jabr
umr bhar duniya mein jine ki adakari karo

gir gai diwar-e-zindan kat gain sab bediyan
ab to ai ahl-e-junun elan-e-bedari karo

munsifo hum ne andhere ko andhera kah diya
ab hamare qatl ke ahkaam bhi jari karo

tark-e-mai-khana hai 'shair' waza-dari ke khilaf
jam khali hai to pine ki adakari karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close