khayal-o-khwab ki duniya badal gaya koi hisar-e-zat se bahar nikal gaya koi hadis-e-dil ka bhi unwan badal gaya koi hamare saghar-e-hasti mein dhal gaya koi bujha na pai use aansuon ki barish bhi hasad ki aag mein kuchh itna jal gaya koi khizan-badosh bahaaren bhi muskurane lagin kisi ki yaad mein aise machal gaya koi ada-e-khas se kahne laga wo jam-ba-kaf ki girte girte yahan phir sanbhal gaya koi bata rahi hain ye 'qaisar' dhuen ki tahriren parai aag mein kyon phir se jal gaya koi