kahin tha main mujhe hona kahin tha main dariya tha magar sahra-nashin tha shikast-o-rekht kaisi fath kaisi ki jab koi muqabil hi nahin tha mile the hum to mausam hans diye the jahan jo bhi mila khandan-jabin tha sawera tha shab-e-tira ke aage jahan diwar thi rasta wahin tha mili manzil kise kar-e-wafa mein magar ye rasta kitna hasin tha jilau mein tishnagi aankhon mein sahil kahin sine mein sahra ja-guzin tha