kabhi to nazar-e-karam mujh pe KHub-ru karte

kabhi to nazar-e-karam mujh pe khub-ru karte
tamam umr kati un ki aarzu karte

khudi ko thes na lagti labon ki jumbish se
nigah-e-naz se wo mujh se guftugu karte

chaman se guzra bahaaron ka qafila lekin
hum apne chaak-gareban kahan rafu karte

hamare ghar jo kabhi jaan-e-mah-ru aata
to us ke qadmon pe qurban aarzu karte

nigahen un se milin tab ye ja ke hum samjhe
shabab yun hi ganwaya hai justuju karte

yahan to soz-e-tamanna mein aankh sukh chali
rahi tamanna ki ashkon se hum wuzu karte

zafar bana lo kisi ko bhi raaz-dan apna
tamam umr kati dil se guftugu karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close