mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya mere sae ki ye sazish kargar hai bhi to kya teri khush-fahmi ke is aaina-e-sad-rang mein aks chehre se siwa jazib-nazar hai bhi to kya apne markaz se juda ho kar agar ye fikr-e-nau daera-dar-daera garm-e-safar hai bhi to kya zahr ki kohna riwayat hi ka dar das jaega jism se lipti ye nagin be-zarar hai bhi to kya mehrban qatron ki barish abr-e-ainda mein hai fasl-e-imkan ab ke mausam be-samar hai bhi to kya sair-e-la-samti se bhi la-hasili ka lutf le reg-e-sahra be-sada o be-samar hai bhi to kya