koi anmol shai pai hui si lag rahi hai ki chehre par chamak aai hui si lag rahi hai tasalsul hai khunuk sayon ka jo had-e-nazar tak faza mein zulf lahrai hui si lag rahi hai gaya hai kaun uth kar aaj is bazm-e-jahan se udasi har taraf chhai hui si lag rahi hai kahin hum dekhte hain be-hisi par khauf tari kahin ghairat bhi tharrai hui si lag rahi hai tujhe rote hue us ne kahin dekha hai shayad ki shabnam aaj sharmai hui si lag rahi hai abhi kuchh der pahle is qadar khushbu kahan thi ye mahfil teri mahkai hui si lag rahi hai tasawwur mein na jaane aa gaya hai kis ka chehra tabiat aaj lalchai hui si lag rahi hai