kabhi wo dida-e-dil wa bhi chhod jate hain kabhi khayal ka rasta bhi chhod jate hain na jao ghar ke shab-afroz rauzanon pe ki log diya makan mein jalta bhi chhod jate hain kuchh e'tibar nahin ham-rahan-e-sahra ka ye dur shahr se tanha bhi chhod jate hain jo bul-hawas hain phir aate hain tere kuche mein jo be-gharaz hain wo duniya bhi chhod jate hain paltte bhi nahin sarmastiyon ke sail aur phir nishaniyan lab-e-dariya bhi chhod jate hain ab is se peshrawan-e-chaman ko kya matlab chaman-nashinon ko jaisa bhi chhod jate hain badha bhi lete hain rahgir un ki khak se pyar phir apni khak ko ruswa bhi chhod jate hain