kyun na afsana-e-gham kaif ka unwan thahre shiddat-e-dard hi jab dard ka darman thahre jis jagah hum sa koi chaak-e-gareban thahre shauq se aa ke wahan fasl-e-bahaaran thahre us ke daman ki taraf hath badhaun kaise jis ke daman ki mahak shoalagi-e-jaan thahre manzilen aati hain aur aa ke guzar jati hain dekhiye ja ke kahan qafila-e-jaan thahre pichhle wade jo nahin yaad to kya baat hui phir koi ahd-e-wafa phir koi paiman thahre aap ko dekhun to ho dur meri tishna-labi aap aa jaen to jazbaat ka tufan thahre shokhi-e-dast-e-saba se to koi kuchh na kahe mere sar tohmat-e-gesu-e-pareshan thahre