meri aahon se jila chahta hai aasman radd-e-bala chahta hai mujh ko to marzi-e-maula aula aur dil sab ka bhala chahta hai burrish-e-tegh na maili ho jae ba-safa hun wo gila chahta hai aaina ho gaya aaina-sarisht yani wo mujh mein dhala chahta hai mauj-dar-mauj gulistan sara mere daman pe khula chahta hai boriye ko kaha saman-e-nashat dekhte rahna jila chahta hai mujh ko darwesh samajhne wala khush-gumani ka sila chahta hai zanu-e-shauq se lag baitha hai aaina apni jila chahta hai nahin pur-shauq koi is ke liye 'hasanat' ab to khala chahta hai