na tum mere na dil mera na jaan-e-na-tawan meri tasawwur mein bhi aa saktin nahin majburiyan meri na tum aae na chain aaya na maut aai shab-e-wada dil-e-muztar tha main tha aur thin be-tabiyan meri abas nadaniyon par aap-apni naz karte hain abhi dekhi kahan hain aap ne nadaniyan meri ye manzil ye hasin manzil jawani nam hai jis ka yahan se aur aage badhna ye umr-e-rawan meri