karb-e-takhliq ka chhaya raha manzar mujh par aayat-e-ishq utarti rahi shab bhar mujh par ek saat ko bhulaya tha gham-e-ishq abhi band hone laga takhliq ka har dar mujh par jagte waqt wahi shakhs labaada tha mera nim-shab ko jo utara gaya paikar mujh par chil kawwon ki tarah kha gae rishte mere phir bhi ilzam dhara jata hai mujh par mujh par khalq ne nawak-e-dushnam se chhalni kar ke jabr ke tir chalae hain barabar mujh par sham hote hi udasi ki hawa chalti hai tut padta hai khayalat ka lashkar mujh par jab kabhi meri tawajjoh mein khalal aata hai phunk deta hai koi ishq ka mantar mujh par 'abdi' ishq adawat hai kaha tha ek din aks mera hi chalane laga khanjar mujh par