kabhu hum se bhi wafa kijiyega ya yahi jaur-o-jafa kijiyega dekhen dushnam kahan tak doge dam mein sau bar dua kijiyega nazar aata hai girah zulf se khol har taraf fitna bapa kijiyega jaan-o-dil se bhi guzar jaenge agar aisa hi khafa kijiyega ki hai bande ke liye ye be-dad rahm tuk bahr-e-khuda kijiyega ishq ke sadqe uthata tha dil ab to wo bhi nahin kya kijiyega ab to tuk mera kaha kijiye phir chahiyega so kaha kijiyega go use ahl-e-wafa se hai khilaf ab 'asar' tu bhi wafa kijiyega