tere khayal ke jab shamiyane lagte hain sukhan ke panw mere ladkhadane lagte hain jo ek dast-e-burida sawad-e-shauq mein hai alam uthae hue us ke shane lagte hain main dasht-e-hu ki taraf jab udan bharta hun teri sada ke shajar phir bulane lagte hain khabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko jalane jalne mein kya kya zamane lagte hain ye gard hai meri aankhon mein kin zamanon ki nae libas bhi ab to purane lagte hain tumhaare mewa-e-lab ko nigah se chhute hi ajib lazzat-e-nayab pane lagte hain jo sansanata hai kufa o nainwa ka khayal gulu-e-jaan ki taraf tir aane lagte hain