nashat-e-mai hai ki jam-e-sharab hai kya hai wo khwab-e-husn hai ya husn-e-khwab hai kya hai nigar-e-husn-e-ghazalan bahaar rahat-e-jaan sahar ka nur hai wo mahtab hai kya hai hawa chali wahi khushbu-badan ki yaad aai ye khwab hai ki haqiqat sarab hai kya hai shab-e-visal jo guzri ki tere chehre par saba ka lams hai rang-e-hijab hai kya hai ye sham-e-gham bhi nahin yaad-e-raftagan bhi nahin ajib si hai khalish iztirab hai kya hai chaman mein nikhat-e-gul hai na ab nasim-e-bahaar dhuan sa phaila hua hai sahab hai kya hai charagh ab bhi teri rahguzar mein jalta hai meri wafa ka sila hai hisab hai kya hai wo shams hai ki sitara wo chand hai ki sahar wo shakhs jaan-e-'saba' hai sarab hai kya hai