shokh patte lahlahate hain shajar ke jaise koi ishtihaar apne hunar ke kitne kachche raste hain is shahar mein sher jaise ban pade hon be-bahr ke sau makanen phir kahin todi gain to ek putla phir kahin aaya ubhar ke jab karenge guftugu tanhaiyon se tab banenge ham-safar khud ham-safar ke pas baitho bhi kabhi kajal lagae hausle bhi dekh lo meri nazar ke muflisi se dur thodi hai amiri fasle hain chand qismat-o-safar ke gir padin tab dar gain bunden zamin se hath pakde hi rahi bahti nahr ke bant le duniya jo tukde ho gae hain zist-o-hasti ke dil-o-jaan-o-jigar ke yun qalam ko kaghazon mein gad dena kya yahi aasar hain tere ghadar ke apne andhe-pan ke bare mein to socho khwab 'alakh' kyon dekhte ho tum sahar ke