main wasl mein bhi 'shefta' hasrat-talab raha gustakhiyon mein bhi mujhe pas-e-adab raha taghir waza ki hai ishaara wida ka yani jafa pe khugar-e-altaf kab raha main rashk se chala to kaha be-sabab chala is par jo rah gaya to kaha be-sabab raha dam bhar bhi ghair par nigah-e-lutf kyun hai ab ek umr main sitam-kash-e-chashm-e-ghazab raha tha shab to aah mein bhi asar jazb-e-dil mein bhi kyunkar na aae 'shefta' mujh ko ajab raha