shama ki tarah pighalte rahiye apni hi aag mein jalte rahiye aaj insan ka muqaddar hai yahi har nae sanche mein dhalte rahiye zinda rahne ki tamanna hai agar apna chehra bhi badalte rahiye chhanw ki tarah badha bhi kije dhup ki tarah na dhalte rahiye zindagi ki hai alamat laghzish kyun bahar-gam sambhalte rahiye kaam lije na zaban se apni khak bas chehre pe malte rahiye zehn bhi shal na kahin ho jae waqt-zaron se nikalte rahiye