kahin nibah ki surat nahin zamane mein

kahin nibah ki surat nahin zamane mein
qafas mein chain na rahat hai aashiyane mein

base chaman mein the ud kar qafas mein ja pahonche
kashish ajib hai qismat ke aab-o-dane mein

phira nasib to duniya ne pher lin aankhen
sharik-e-haal nahin koi bhi zamane mein

kise sunaen sune kaun kya padi kis ko
bala ka dard bhara hai mere fasane mein

chhupenge ahl-e-nazar se yahan wahan kab tak
kabhi to aaenge dil ke nigar-khane mein

kahin sukun nahin zabt dhundhte kya ho
ghubar chhaya hai duniya ke kar-khane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close