wo sitam-gar hai khayalat samajhne wala mujh se pahle mere jazbaat samajhne wala main ne rakkha hai hamesha hi tabassum lab par ro diya kyun mere haalat samajhne wala jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha ruk gaya tere maqamat samajhne wala jo na samjhe wo banate rahe lakhon baaten hua khamosh teri baat samajhne wala raaz-e-taqdir pe kya raushni dalega koi khud sawali hai sawalat samajhne wala