mere arman mayusi ke pale padte jate hain tumhaari chah mein jine ke lale padte jate hain udhar us ki shararat jis ne gham ki aag sulga di idhar mera kaleja jis mein chhaale padte jate hain mere un ke talluq par koi ab kuchh nahin kahta khuda ka shukr sab ke munh mein tale padte jate hain gham-e-nakaami-e-koshish se haalat bigdi jati hai kaleje mein yahan be-ag chhaale padte jate hain hamara dard aah-e-dil maza deta hai ud ud kar tumhaare chand se chehre pe haale padte jate hain masiha ja raha hai daud kar aawaz do 'muztar' ki dil ko dekhta ja jis mein chhaale padte jate hain