kaha tha tumne hi mujhko aisa ki aisi shohrat bigaD degi

kaha tha tum ne hi mujh ko aisa ki aisi shohrat bigad degi
ab aa ke dekho to phir kahoge ki itni wahshat bigad degi

bahut yaqin se kaha hai us ne agar kabhi hum alag hue to
tumhein hamari hamein tumhaari yahi zarurat bigad degi

hamari qismat mein aur kya hai udas nazmen adhuri ghazlen
hamari sohbat se dur rahiye hamari sohbat bigad degi

isi tarah gar tumhaare nakhre raha uthata main sar pe apne
to hai ye mumkin ki jaan tum ko meri mohabbat bigad degi

mujhe hui hai ye baat malum baad milne ke is se yaron
bigad degi bigad degi wo ladki aadat bigad degi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close