kaise bataun ab mujhe kya kya nahin pasand bas tu pasand hai koi tujh sa nahin pasand ninden uda gae jo in aankhon ke khwab the aisa nahin ki ab mujhe sona nahin pasand lauta ke jab se aaen hain copy wo us ki hum tab se hamein to apna hi basta nahin pasand pahle banaya us ne to apni tarah mujhe kahta hai ab ki main use aisa nahin pasand jismon ke raste aa gae hain dil talak to hum aasan bahut hai par hamein rasta nahin pasand phir aap aise dariya pe lanat hi bhejiye meri tarah ka gar use pyasa nahin pasand