kuchh nahin ashk-e-nadamat ke siwa sail ke pas

kuchh nahin ashk-e-nadamat ke siwa sail ke pas
sharm aati hai mujhe jate hue qatil ke pas

ai meri nadari-e-dil ye bata de tu mujhe
nazr karne ke liye le jaun kya qatil ke pas

kar diya majbur aisa shauq ne arman ne
wae nakaami-e-dil jaana pada qatil ke pas

thi zarurat zakhm-e-dil ki ho gaya hasil mujhe
aur phir rakkha hi kya hai ma-siwa qatil ke pas

apne dil ki kya bataen kuchh nahin hum ko khabar
hosh hi kho baithe apne pohnch kar manzil ke pas

imtihan-e-dil se pahle be-khudi ne kho diya
dur tha manzil se yani pohnch kar manzil ke pas

kat lenge khud-bakhud apna gala hum shauq mein
kya gharaz hai hum ko kyon jate phiren qatil ke pas

raaz-e-wahshat puchhte ho kya hamara 'raaz' tum
barha laut aae hain ja ja ke hum qatil ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close