kahan hum aur kahan ab sharab-khana-e-ishq na wo dimagh na wo dil na wo zamana-e-ishq hua hai shahr-e-khamoshan mein jab guzar mera suna kiya hun lab-e-gor se fasana-e-ishq khayal-e-rukh pe hai mauquf dil ki aabaadi kabhi na gul ho ilahi charagh-e-khana-e-ishq bhare hue hain hasinan-e-sim-tan dil mein khuda kare kabhi khali na ho khazana-e-ishq gai dimagh mein jis ke kiya asir use ajab kamand hai bu-e-sharab-khana-e-ishq kahin hai dagh ka mazmun kahin hai soz ka zikr suno na tum ki bahut garm hai fasana-e-ishq ghalat hai sahab-e-daulat ko gar ghani kahiye ghani wo hai jise allah de khazana-e-ishq jo bahr-e-gham mein gira hath dho ke jine se usi ke hath bhi aaya dur-e-yagana-e-ishq tamam umr isi sahra ki khak chhani hai jo tum suno to sunaun koi fasana-e-ishq bane hain jab se wo yusuf har ek gahak hai khula hua hai yahan bhi dar-e-khazana-e-ishq kisi pe dil ka tha aana ki be-khudi chhai samand-e-hosh ko aafat hai taziyana-e-ishq jab un ke dil mein ye aati hai kuchh sunen nale to mujh se kahte hain chhedo koi tarana-e-ishq chamak ke dagh ye kahta hai dil ki aahon se hawa se bujh nahin sakta charagh-e-khana-e-ishq ye jaaniye ki lagi hath daulat-e-kaunain mile jo khirman-e-hasti se ek dana-e-ishq yahan 'ayaz' hai aaqa ghulam hai 'mahmud' 'jalil' kya main kahun tum se karkhana-e-ishq