zaron se dariye phuliye zar par na zor par kije nigah haal-e-sulaiman-o-mor par rok apne nafs-e-bad ko ki hasil hai ikhtiyar bimar par hakim ko hakim ko chor par ho aabru badhani to ye kah ab bahr ko milta mulaemat se hai kis zor-o-shor par ek umr se wazifa hai sahab ke nam ka nakhun ke khat hain ungliyon ke por por par nargis ke chashm-e-bad ka hai nahaq tumhein khayal ilzam bad-nigahi ka tohmat hai kor par panw apna mere sine pe rakh dije ek bar ek lat bhi to mariye hatim ki gor par ulfat mein dil umadte hi sar tan se ud gaya sar-posh josh-e-mai se na thahra mathor par kal tak jo sham-e-mahfil-e-aish-o-nishat the jalta nahin charagh hai aaj un ki gor par bulbul se hum ne ladke kiya sirr-e-ishq fash waqif hazar the to khula ab karor par hote ho bagh mein jo ghazal-khwan tum ai 'nasim' khanda gulon ko aata hai bulbul ke shor par