nazar us chashm pe hai jam liye baitha hun hai na pine ka ye matlab ki piye baitha hun rakhna-andazi-e-andoh se ghafil nahin main hai jigar chaak to kya hont siye baitha hun kya karun dil ko jo lene nahin deta hai qarar jo muqaddar ne diya hai wo liye baitha hun iltifat ai nigah-e-hosh-ruba ab kyun hai pas jo kuchh tha wo pahle se diye baitha hun dil-e-pur-kaif salamat ki akele mein bhi ek botal se baghal garm kiye baitha hun 'arzu' jalte hue dil ke sharare hain ye ashk aag pani ke katoron mein liye baitha hun