kahan jaega dard un ki judai ka khafa ho kar mere dil se nikal kar mere pahlu se juda ho kar janab-e-shaikh masjid mein na baithen parsa ho kar baqa hasil karen us ki mohabbat mein fana ho kar tajjub hai buton ko baat karna bhi nahin aata khudai mein khudai karne baithe hain khuda ho kar main wo hun sakht jo uf bhi na niklegi mere munh se jafaon par jafaen jis qadar tu chahta ho kar baja kahte hain jo kahte hain tujh ko yar-e-harjai ki tu rahta hai sab ke dil mein sab ka aashna ho kar musibat mein raha karte hain jo bhi dana duniya mein unhin ko pista hai charkh-e-zalim aasiya ho kar tumhaare hum hamare tum tumhein kya wasta is se adu ke aashna kyun ho hamare aashna ho kar sar-e-mahfil jo mujh ko dekhte hain wo kan-ankhiyon se chhupi baithi hai shokhi un ki aankhon mein haya ho kar sahar tak us ke sadmon se ho jaan-bar ghair mumkin hai shab-e-furqat mere ghar aai hai meri qaza ho kar kahan tak shauq-e-nazzara hai be-khud ho ke ai 'sabir' pada hun main kisi ki rahguzar mein naqsh-e-pa ho kar janab-e-dil ki baaton mein na aana dekh ai 'sabir' ye hazrat rah-e-ulfat mein hain rahzan rahnuma ho kar