kahan kahan tujhe dhundun kahan kahan dekhun dikhai kyon nahin deta hai main jahan dekhun faza mein phail raha hai ab intishaar bahut na jaane kitne hi chehre dhuan dhuan dekhun kisi ke samne zahir na hon mere haalat khudaya tujh ko faqat faqat apna raaz-dan dekhun zamin pe phir kahin wahshat ne sar ubhaara hai lahu ke rang mein phir aaj aasman dekhun ye aarzu ki mere ishq ko mile mearaj namaz-e-ishq padhun hijr-e-be-karan dekhun bahaar aaegi dil ko hai ab yaqin mere khayal-o-khwab mein phulon ke karwan dekhun bani hai dil mein magar rukh se baat hai zahir 'sadaf' ke chehre ko main dil ka aaina dekhun