sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau bar mast shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal phenkte hain sar se apne khak par dastar mast sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain bazm-e-mastan mein wahi mashhur hain sardar mast be-khudi diwangi mein is tarah sarshaar hain bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido ku-e-jaanan mein hazaron ho gae hoshyar mast kaifiyat donon jahan ki hai wahan hasil tamam jab nazar aawen kisi ja par kahin do-chaar mast haal aa jae abhi sab sakinan-e-charkh ko tu bhi ho jawe ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast