pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main phir kya karunga le ke ilahi asar ko main aashob-gah-e-hashr mujhe kyun ajib ho jab aaj dekhta hun teri rahguzar ko main aisa bhi ek jalwa tha us mein chhupa hua us rukh pe dekhta hun ab apni nazar ko main jina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya pahchanne laga hun tumhaari nazar ko main wo shokhiyon se jalwa dikha kar to chal diye un ki khabar ko jaun ki apni khabar ko main aahon ne meri khirman-e-hasti jala diya kya munh dikhaunga teri barq-e-nazar ko main baqi nahin jo lazzat-e-bedari-e-fana phir kya karunga zindagi-e-be-asar ko main 'asghar' mujhe junun nahin lekin ye haal hai ghabra raha hun dekh ke diwar-o-dar ko main