lagta hai pech-o-tab ke aage kuchh aur hai is shor-e-inqalab ke aage kuchh aur hai be-shak mere sawal ke pichhe hai aur baat kya tere is jawab ke aage kuchh aur hai har chand meri aankhon ne dekha nahin hunuz lekin tilism-e-khwab ke aage kuchh aur hai jo tujh se khush-jamal hai aur dil-fareb bhi duniya tere shabab ke aage kuchh aur hai udta hua uqab to aankhon mein qaid hai ab dekhiye uqab ke aage kuchh aur hai han jis se us zamin ka tawazun hai barqarar din raat ke azab ke aage kuchh aur hai parda pada hua hai meri aankh par talab ya barq-o-aftab ke aage kuchh aur hai